main nahin kahta har ek chiz purani le ja
mujh ko jine nahin deti jo nishani le ja
ek ban-bas to jina hai tujhe bhi ai dost
apne hamrah koi ram-kahani le ja
jin se ummid hai sahra mein ghani chhanw ki
un daraKHton ke liye Dher sa pani le ja
sach ko kaghaz pe utarne mein ho KHatra shayad
meri sochi hui har baat zabani le ja
wo jo baiThe hain haqiqat ka tasawwur le kar
aise logon ke liye koi kahani le ja
Ghazal
Main nahin kahta har ek chiz purani le ja
Surender Shajar