main na wo hun ki tanik ghusse mein Tal jaunga
hans ke tum baat karoge main bahal jaunga
ham-nashin kijiyo taqrib to shab-bashi ki
aaj kar nashsha ka hila main machal jaunga
dil mere zoaf pe kya rahm tu khata hai ki main
jaan se ab ki bacha hun to sambhal jaunga
sair us kuche ki karta hun ki jibril jahan
ja ke bola ki bas ab aage main jal jaunga
tang hun main bhi ab is jine se ai ji na ruka
ja nikal ja jo tu kahta hai nikal jaunga
shor-e-mahshar se hai parwa mujhe kya ai waiz
jab ki ham-rah liye dil sa KHalal jaunga
shoKHi se pahunchiye jun hind mein tuti 'qaem'
aage 'sauda' ke main le kar ye ghazal jaunga
Ghazal
Main na wo hun ki tanik ghusse mein Tal jaunga
Qayem Chandpuri