main na jaana tha ki tu yun be-wafa ho jaega
aashna ho is qadar na-ashna ho jaega
KHub lagti hai agar bad-nami-e-ashiq tujhe
aah karta hun ki shohra ja-ba-ja ho jaega
gar tumhaari dil KHushi hai zabh karne mein mere
KHub ji jawe to jawe aur kya ho jaega
main suna hon tujh labon ka nam hi hajat-rawa
yak tabassum kar ki mera muddaa ho jaega
kya ajab gar main hua diwana-e-zulf-e-butan
gar farishta howe to un ka mubtala ho jaega
main tumhaare aastane sin juda hone ka nahin
sar agar shamshir sin kaT kar juda ho jaega
jyun 'siraj' us shama-ru par dil kun hai milne ka shauq
farz-e-ain-e-ashiqi sin ab ada ho jaega
Ghazal
Main na jaana tha ki tu yun be-wafa ho jaega
Siraj Aurangabadi