main na hone se hua yani baDi taqsir ki
kimiya-gar ne meri miTi magar iksir ki
un dinon aaya tha tu jab hausla darkar tha
KHair ho teri ki tu ne tirgi tanwir ki
aur socha aur socha aur socha aur phir
us KHuda-e-lam-yazal ne aur hi taqdir ki
aashiqan suniye ba-gosh-e-hosh meri dastan
dastan kuchh bhi nahin yaron ne bas tashhir ki
main to miTTi ho raha tha ishq mein lekin 'ata'
aa gai mujh mein kahin se be-dimaghi 'mir' ki
Ghazal
Main na hone se hua yani baDi taqsir ki
Ahmad Ata