اردو हिंदी
Main mubtala-e-ishq hun mujhko pata na tha | Shaahi Shayari
main mubtala-e-ishq hun mujhko pata na tha

Ghazal

Main mubtala-e-ishq hun mujhko pata na tha

Razia Halim Jang

;

main mubtala-e-ishq hun mujh ko pata na tha
jab tak kisi ne haal ye mera kiya na tha

paya hai jab se tujh ko hai takmil ka surur
main thi adhuri tu mujhe jab tak mila na tha

allah tere ishq mein hun haal se behaal
tab tak baDe maze mein thi jab dil laga na tha