main mohabbat ke maron ki duniya se hun
mujh se kije wafa saKHt mushkil mein hun
dur tak dard ki sarhaden ja chukin
koi de do dawa saKHt mushkil mein hun
zindagi qaid mein ek zamane se hai
ab to kar do riha saKHt mushkil mein hun
tujh se koi bhalai tawaqqoa nahin
koi kar de bhala saKHt mushkil mein hun
us ki jati hai jis ki ho izzat koi
kya gaya hai tera saKHt mushkil mein hun
har-ghaDi jis ne mushkil mein Dala mujhe
mujh se wo kah gaya saKHt mushkil mein hun
chhin kar puchhta hai Thikane sabhi
hai kahan aasra saKHt mushkil mein hun
jis ko saunpe the darje hifazat ke wo
rahzanon se mila saKHt mushkil mein hun
kah ke 'mumtaz' yun aazmae gae
ho gai intiha saKHt mushkil mein hun
ab shash-o-panj mein mujh ko rahna nahin
ho koi faisla saKHt mushkil mein hun
bhul baiThe hain parwaz ki jab ada
dar qafas ka khula saKHt mushkil mein hun
Ghazal
Main mohabbat ke maron ki duniya se hun
Mumtaz Malik