main mahal ret ke sahra mein banane baiTha 
chand alfaz ko mazi ke bhulane baiTha 
hadse se hi hua gham ka mudawa mere 
falsafa sabr ka logon ko paDhane baiTha 
thak ke sae mein babulon ke sukun jab chaha 
us ka har patta mujhe kanTe lagane baiTha 
jis ne toDa sabhi naton sabhi rishton ko mere 
umr bhar ka wahi ab qarz chukane baiTha 
us ke talKHab se kab pyas meri bujh pai 
ghar samundar ke kinare hi basane baiTha 
jism ke baKHiye jo udhDe to udhaDte hi rahe 
jama resham ka pahne ko silane baiTha 
log the gird alaw ke magar main 'nayyar' 
jism ki aag ko pani se bujhane baiTha
        Ghazal
Main mahal ret ke sahra mein banane baiTha
Azhar Naiyyar

