اردو हिंदी
Main likh kar ho sakunga surKH-ru kya | Shaahi Shayari
main likh kar ho sakunga surKH-ru kya

Ghazal

Main likh kar ho sakunga surKH-ru kya

Arman Najmi

;

main likh kar ho sakunga surKH-ru kya
qalam kya aur qalam ki aabru kya

na socha kaTne wale ne itna
hari Dali ki thi kuchh aarzu kya

zara jage to hum sina-sipar hon
ana ko jo sula de wo lahu kya

zamin ko aab-o-dana de ke dekho
khila deti hai gulzar-e-numu kya

adu ko zer kar lo faslon se
laDai ab hai lazim du-ba-du kya