اردو हिंदी
Main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho | Shaahi Shayari
main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho

Ghazal

Main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho

Shaz Tamkanat

;

main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho
ki raat der gae tera dar khula hi na ho

nahin ki zist se kuchh wasta paDa hi na ho
main kaise manun tera dil kabhi dukha hi na ho

talash kar use diwar-o-dar ke chehron mein
ajab nahin teri mahfil se wo uTha hi na ho

ek e'timad-e-wafa hai ki ji raha hun main
ki mere haal ka shayad use pata hi na ho

ye rasta to usi dar pe ja ke rukta tha
ki wo KHafa hai to ye rasta muDa hi na ho

main yunhi us se KHafa hun magar mujhe Dar hai
manane wala haqiqat mein KHud KHafa hi na ho

mujhe to tujh pe KHud apna guman guzarta hai
tera thaka hua lahja meri dua hi na ho

gunah aur hasin, ahrman ke bas mein nahin
sitam-zarif koi banda-e-KHuda hi na ho

main sochta hun ki aap-apni dushmani kya hai
mera wajud meri zat se juda hi na ho

baDe-baDon ke nasheb-o-faraaz dekhe hain
koi mile to sahi jis ka sar jhuka hi na ho

na jaane kitne hain sayyargan-e-na-dida
tu intiha jise kahta hai ibtida hi na ho

wo lakh gham sahi aisa nahin ye duniya hai
ki 'shaz' us se bichhaD kar kabhi hansa hi na ho