اردو हिंदी
Main lakh kah dun ki aakash hun zamin hun main | Shaahi Shayari
main lakh kah dun ki aakash hun zamin hun main

Ghazal

Main lakh kah dun ki aakash hun zamin hun main

Rahat Indori

;

main lakh kah dun ki aakash hun zamin hun main
magar use to KHabar hai ki kuchh nahin hun main

ajib log hain meri talash mein mujh ko
wahan pe DhunD rahe hain jahan nahin hun main

main aainon se to mayus lauT aaya tha
magar kisi ne bataya bahut hasin hun main

wo zarre zarre mein maujud hai magar main bhi
kahin kahin hun kahan hun kahin nahin hun main

wo ek kitab jo mansub tere nam se hai
usi kitab ke andar kahin kahin hun main

sitaro aao meri rah mein bikhar jao
ye mera hukm hai haalanki kuchh nahin hun main

yahin husain bhi guzre yahin yazid bhi tha
hazar rang mein Dubi hui zamin hun main

ye buDhi qabren tumhein kuchh nahin bataengi
mujhe talash karo dosto yahin hun main