اردو हिंदी
Main kyun zaban se wafa ka yaqin dilaun tumhein | Shaahi Shayari
main kyun zaban se wafa ka yaqin dilaun tumhein

Ghazal

Main kyun zaban se wafa ka yaqin dilaun tumhein

Qazi Ehtisham Bachhrauni

;

main kyun zaban se wafa ka yaqin dilaun tumhein
tum aazmao mujhe aur main aazmaun tumhein

main bhulne ko to ek pal mein bhul jaunga
ye sochta hun kahin main na yaad aaun tumhein

meri ghazal hai meri kaifiyat ka aaina
ab aur haal-e-dil-e-zar kya sunaun tumhein

meri taraf se sada bad-guman rahe ho tum
qarib aao to main kya hun ye bataun tumhein

kuchh aisa lutf hai us ruThne manane mein
hazar bar bhi ruTho to main manaun tumhein

meri nigah mein kuchh is tarah sama jao
nigah KHud pe bhi Dalon agar to panw tumhein

ye aarzu hai meri shairi mein Dhal jao
ghazal ke rup mein har lamha gungunaun tumhein

mujhe yaqin hai ki taswir un ki paoge
main 'ehtisham' jo dil chir ke dikhaun tumhein