main kya hun kaun hun ye bhi KHabar nahin mujh ko
wo is tarah meri hasti pe chhae jate hain
KHayal hi abhi aaya tha ku-e-jaanan ka
ye haal hai ki qadam Dagmagae jate hain
wo puchhte hain dil-e-mubtala ka haal aur hum
jawab mein faqat aansu bahae jate hain
kahan hai shauq bata ghairat-e-kashish teri
wo meri KHak se daman bachae jate hain
miTa rahe hain wo kyun dagh-ha-e-dil 'hadi'
charagh kyun ye jala kar bujhae jate hain
Ghazal
Main kya hun kaun hun ye bhi KHabar nahin mujhko
Hadi Machlishahri