اردو हिंदी
Main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main | Shaahi Shayari
main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main

Ghazal

Main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main

Jameel Mazhari

;

main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main
hujum-e-lafz-o-maani mein kho gaya hun main

pinha de koi mohabbat ki ek kaDi zanjir
ki qaid-e-farz se bahar nikal gaya hun main

sawab ko nai shaklen jo de raha hai tu
gunah ke nae sanche bana raha hun main

junun mera KHirad-asuda-e-nataej hai
KHud apne panw ki zanjir Dhaalta hun main

meri nazar mein tajalli ki kya haqiqat hai
tajalliyon ki haqiqat ko dekhta hun main

gira chuka tha jise kal nazar se apni 'jamil'
ghurur ab usi pasti pe kar raha hun main