اردو हिंदी
Main koi dasht main diwar nahin kar sakta | Shaahi Shayari
main koi dasht main diwar nahin kar sakta

Ghazal

Main koi dasht main diwar nahin kar sakta

Moid Rashidi

;

main koi dasht main diwar nahin kar sakta
shahr ab mujh pe kabhi war nahin kar sakta

main nahin chahta har dam teri yaadon ka hujum
apni tanhai mein darbar nahin kar sakta

tera gham ho ki gham-e-dahr uThane mein hai kya
kaam kya hai jo ye bimar nahin kar sakta

ek imarat mere andar hui mismar to ab
kya mujhe waqt sar-e-dar nahin kar sakta

apni qimat mujhe malum hai darbar-e-suKHan
teri qimat pe ye bazar nahin kar sakta