main kisi ki raat ka tanha charagh
itna sunna tha ki phir mahka charagh
taq-e-jaan ki gul hui afsurdagi
aas ne ummid ka rakkha charagh
andarun-e-zat tak khulta hua
jism ke jangal mein ek ugta charagh
do sitare jaD ke yakja ho gae
aaKHir-e-shab Dub kar ubhra charagh
KHwab mein donon ne dekhi raushni
nind mein mil banT kar DhunDa charagh
tirgi ke daere mein rakh gaya
ek saya aa ke phir jalta charagh
sahilon ki nazar kar aai hawa
minnaton ka ek man-chaha charagh
lo koi tajsim kar paya kahan
mom ban kar raat-bhar pighla charagh
nim-wa aankhon se mujh ko dekh kar
gul hua jata hai ek buDha charagh
Ghazal
Main kisi ki raat ka tanha charagh
Shumaila Bahzad