main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab
kisi habib ne mangi hai zindagi ki kitab
hamein na bhulna aalam-e-sad-zaman ki yahan
hamin hain maskan-e-hirman hamin hain bait-e-azab
inhi se shab mein ujala inhi se nur-e-KHayal
mere liye to bahut kuchh hain dida-e-be-KHwab
gaya tha dasht se uTh kar samundaron ki taraf
wahan bhi tishna-nasibi wahan bhi marg-e-sarab
pakaD ke daman-e-dil ya jhuka ke sar apna
diya hai KHwab-e-shikasta ka har kisi ko hisab
mere kalam ki tafsir ke liye paDhiye
jamal-e-fikr ki aayat nawa-e-jaan ki kitab
wo aankhen pyar ke lahje mein kah rahi thin 'hasan'
hamin se mang piyala hamin se mang sharab
hawa bahaar ke mausam mein yun chali ki 'naim'
na surKH-ru tha gulistan na surKH-ru the gulab
Ghazal
Main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab
Hasan Nayeem