main kis ki khoj mein is karb se guzarta raha
ki shaKH shaKH pe khilta raha bikharta raha
mujhe to itni KHabar hai ki musht-e-KHak tha main
jo chaak mohlat-e-girya pe raqs karta raha
ye sans bhar mere hisse ka KHwab kaisa tha
ki jis mein apne lahu se main rang bharta raha
ajib jang rahi meri mere ahd ke sath
main us ke jal ko wo mere par katarta raha
unhon ne mujh ko samundar hi dekhne na diya
ki ghar ka ghar hi mere Dubne se Darta raha
Ghazal
Main kis ki khoj mein is karb se guzarta raha
Nisar Nasik