اردو हिंदी
Main ki tanha etibar-e-zat khone se hua | Shaahi Shayari
main ki tanha etibar-e-zat khone se hua

Ghazal

Main ki tanha etibar-e-zat khone se hua

Javed Shaheen

;

main ki tanha e'tibar-e-zat khone se hua
jo hua wo dil mein shak ka bij bone se hua

ek zara se dagh-e-ruswai ka itna phailna
aisa daman ko kisi jaldi mein dhone se hua

main ne dekha hai chaman se ruKHsat-e-gul ka saman
sab se pahle rang maddham ek kone se hua

main hi banta hun fasad-e-ab-o-gil ka har sabab
kis qadar nuqsan mera mere hone se hua

ek hangama hua jo raat ke aiwan mein
raushni ka KHar-e-zulmat mein chubhone se hua

kya bataun kis tarah jata raha zad-e-safar
ye ziyan bas ek pal raste mein sone se hua

sar pe hi rahta agar to sar ka bachna tha muhaal
bojh mera kam ise har aan dhone se hua

zindagi ghisti rahi 'shahin' basar hone ke sath
pairahan ka rang phika roz dhone se hua