main ki KHush hota tha dariya ki rawani dekh kar
kanp uTTha hun gali-kuchon mein pani dekh kar
ho koi bahrup us ka dil dhaDakta hai zarur
main use pahchan leta hun nishani dekh kar
adh-khule tanha darichon ka mujhe aaya KHayal
nim-wa aankhon ki rangat aasmani dekh kar
abr ke TukDon ne diwaren bana din ja-ba-ja
dhup se jalti faza ki be-karani dekh kar
ek lamhe mein kaTa hai muddaton ka fasla
main abhi aaya hun taswiren purani dekh kar
aankh ke baadal se kahta hai ki duniya par baras
dil lab o ruKHsar ki shoala-fishani dekh kar
kis taraf le jaegi soe hue logon ko raat
Dar raha hun us ki aankhon mein girani dekh kar
din wahin par kaTna hum ko qayamat ho gaya
aan baiThe the jahan subhen suhani dekh kar
dil mein jo kuchh hai zaban ka zaiqa banta nahin
lafz chehra Dhanp lete hain maani dekh kar
dil na jaane kaun si gahraiyon mein kho gaya
bahr ki maujon ki tahriron ko fani dekh kar
der se 'shahzad' kunj-e-afiyat mein the asir
KHush hua hai dil bala-e-na-gahani dekh kar
Ghazal
Main ki KHush hota tha dariya ki rawani dekh kar
Shahzad Ahmad