main ki afsurda makanon mein rahun
aaj bhi guzre zamanon mein rahun
raat hai sar par koi suraj nahin
kis liye phir saebanon mein rahun
kya wasila ho mere izhaar ka
lafz hun gungi zabanon mein rahun
kaun dekhega yahan taqat meri
tir hun TuTi kamanon mein rahun
bheDiye hain chaar-su biphre hue
niche utrun ya machanon mein rahun
mere hone ka ho kuchh to faeda
hun hawa to baadbanon mein rahun
rabta rakhkhun zaminon se magar
aasmanon ki uDanon mein rahun
ye bhi kya 'faKHri' ki purzon ki tarah
raat din main kar-KHanon mein rahun
Ghazal
Main ki afsurda makanon mein rahun
Zahid Fakhri