main KHwab apne sare nilam kar raha hun
aur ye bhi jaan lo ki be-dam kar raha hun
is se gharaz nahin hai boli lagegi kaise
jo kaam karna hai bas wo kaam kar raha hun
wo sab kahaniyan jo puri nahin hui thin
tahrir aaj un ka anjam kar raha hun
thak-haar sa gaya tha main rah chalte chalte
saya jo mil gaya hai aaram kar raha hun
sair-e-jahan ki fursat milti kahan hai mujh ko
ab kya bataun tum ko kya kaam kar raha hun
Ghazal
Main KHwab apne sare nilam kar raha hun
Obaid Siddiqi

