main KHub ahl-e-jahan dekhe aur jahan dekha
par aashna koi dekha na mehrban dekha
hamesha mana tu karta tha bagh se hum ko
kuchh haal ab gul o gulshan ka baghban dekha
talab kamal ki koi na kijiyo zinhaar
ki main ye kar ke fuzuli bahut ziyan dekha
na jaane kaun si saat chaman se bichhDe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
sune ko dekhe pa hum kis tarah se den tarjih
KHuda to hum ne suna hai tumhein butan dekha
ba-rang-e-ghuncha bahaar us chaman ki sunte the
pa jun hi aankh khuli mausam-e-KHizan dekha
na kahte the tujhe 'qaem' ki dil kisi ko na de
maza kuchh is ka bhala tu ne ai miyan dekha
Ghazal
Main KHub ahl-e-jahan dekhe aur jahan dekha
Qayem Chandpuri