main KHud hun naqd magar sau udhaar sar par hai
ajab wabaal-e-gham-e-rozgar sar par hai
guman hai sab ko ki hun aasman uThae hue
safar safar wo qadam ka ghubar sar par hai
hawa-e-jaan ka taqaza ki rahiye ghar se dur
ki hain jo ghar mein bayaban hazar sar par hai
subuk na samjho mujhe pusht TuT jaegi
main ek pal sahi sadiyon ka bar sar par hai
zamin ke zimme hai jo qarz kyun chukaun main
zamana kis liye aaKHir sawar sar par hai
hazar ghaTe ka sauda ho ye faqiri-e-harf
yahi bahut hai kulah-e-waqar sar par hai
'faza' na tha kabhi taza dimagh itna main
hai us ka hath ki shaKH-e-bahaar sar par hai
Ghazal
Main KHud hun naqd magar sau udhaar sar par hai
Faza Ibn e Faizi