اردو हिंदी
Main KHud hi KHugar-e-KHalish-e-justuju na tha | Shaahi Shayari
main KHud hi KHugar-e-KHalish-e-justuju na tha

Ghazal

Main KHud hi KHugar-e-KHalish-e-justuju na tha

Gauhar Hoshiyarpuri

;

main KHud hi KHugar-e-KHalish-e-justuju na tha
dushwar warna marhala-e-arzu na tha

nahaq KHarab-e-minnat-e-darman hua na dard
mamnun-e-zaKHm hun ki maqam-e-rafu na tha

ya aashna-e-ramz talab hi na thi zaban
lab wa hue to hausla-e-guftagu na tha

na-pursish-e-wafa ki ye naubat kabhi na thi
dil yun suluk-e-ahl-e-karam se lahu na tha

han kab ba-nam-e-ishq hawas surKH-ru na thi
han kab niyaz-e-shauq subuk ku-ba-ku na tha

KHush-fahmi-e-KHayal ki ab zid ka kya ilaj
warna jo sham pas se guzra tha tu na tha

'gauhar' ghazal se dhul to gaya kuchh ghubar-e-gham
har chand ye hunar sabab-e-abru na tha