main KHud gaya na us ki ada le gai mujhe
maqtal mein rasm-e-pas-e-wafa le gai mujhe
andar se khokhla jo tha balloon ki tarah
chaha jidhar hawa ne uDa le gai mujhe
ek harf tha jo tum ne suna an-suna kiya
ab DhunDte phiro ki sada le gai mujhe
sahil se mera panw phisalne ki der thi
ek mauj-e-be-panah baha le gai mujhe
baiTha tha chhup ke os ki ThanDi phuwar mein
aai kaDakti dhup uTha le gai mujhe
jata kahan ki aage koi rasta na tha
andhi gupha mein meri ana le gai mujhe
'sabir' main reza reza KHala mein bikhar gaya
itni bulandiyon pe hawa le gai mujhe
Ghazal
Main KHud gaya na uski ada le gai mujhe
Nau Bahar Sabir