main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila
saqi mere mizaj ka mausam nahin mila
mujh mein basi hui thi kisi aur ki mahak
dil bujh gaya ki raat wo barham nahin mila
bas apne samne zara aankhen jhuki rahin
warna meri ana mein kahin KHam nahin mila
us se tarah tarah ki shikayat rahi magar
meri taraf se ranj use kam nahin mila
ek ek kar ke log bichhaDte chale gae
ye kya hua ki waqfa-e-matam nahin mila
Ghazal
Main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila
Saqi Faruqi