main KHamushi ke jazire mein ek patthar tha
magar sadaon ka rela mera muqaddar tha
na jaane kaun tha kis ajnabi safar par tha
wo qafile se alag qafile ke andar tha
tamam shahr ko us ka pata mila mujh se
wo aaine mein tha par aaine se bahar tha
wo ja raha tha samundar ko jhelne ke liye
araq araq sar-e-sahil tamam manzar tha
khula tha us ke liye qasr ka junubi dar
magar wahan koi andar hi tha na bahar tha
wo narm ret ke bistar pe ja ke leT gaya
khuli jo aankh to chaaron taraf samundar tha
ghira hua tha wo bad-namiyon ke haale mein
hasin kuchh aur bhi 'shahin' us ka paikar tha
Ghazal
Main KHamushi ke jazire mein ek patthar tha
Wali Alam Shaheen