main KHak ho raha hun yahan KHak-dan mein
wo rang bhar raha hai udhar aasman mein
ye kaun bolta hai mere dil ke andarun
aawaz kis ki gunjti hai is makan mein
phir yun hua ki zamzama-pardaz ho gai
wo andalib aur kisi gulsitan mein
uDti hai KHak dil ke darichon ke aas-pas
shayad makin koi nahin is makan mein
yunhi nahin ruka tha zara der ko safar
diwar aa gai thi koi darmiyan mein
ek KHwab ki talash mein nikla hua wajud
shayad pahunch chuka hai kisi dastan mein
'ahmad' tarashta hun kahin baad mein use
taswir dekh leta hun pahle chaTan mein
Ghazal
Main KHak ho raha hun yahan KHak-dan mein
Ahmad Rizwan