اردو हिंदी
Main kewal ab KHud se rishta rakkhunga | Shaahi Shayari
main kewal ab KHud se rishta rakkhunga

Ghazal

Main kewal ab KHud se rishta rakkhunga

Amit Sharma Meet

;

main kewal ab KHud se rishta rakkhunga
yani main ab KHud ko tanha rakkhunga

duniya se har raaz chhupane ke KHatir
main apna chehra an-jaana rakkhunga

manDi mein gham ka main hi saudagar hun
is KHatir main dam ziyaada rakkhunga

teri surat teri chahat yaaden sab
chhoTe se is dil mein kya kya rakkhunga

wada hai tujh se main teri yaadon ko
mahshar ki ghaDiyon tak zinda rakkhunga

ek nazar tum dikh jao is chahat mein
kab tak un aankhon ko pyasa rakkhunga

'mit' yahan jo sapne sare bikhre hain
soch raha hun in ko bikhra rakkhunga