main karb-e-but-tarashi-e-azar mein qaid tha
shoale ka kya qusur jo patthar mein qaid tha
jis ki tahon mein KHud hi machalti hain aandhiyan
main KHwahishon ke aise samundar mein qaid tha
phenke hai mujh ko dur ye gardish hai kitni tez
kin mushkilon se zat ke mehwar mein qaid tha
aate hain sare raste muD kar yahin 'shakil'
zindan mera yahi tha isi ghar mein qaid tha
jis ka tariq-e-jang hi shab-KHun raha 'shakil'
main aise hadsat ke lashkar mein qaid tha

Ghazal
Main karb-e-but-tarashi-e-azar mein qaid tha
Syed Shakeel Desnavi