main kam-sini ke sabhi khilaunon mein yun bikharta jawan hua tha
dila main tere hasin KHayalon se Darta Darta jawan hua tha
mujhe sitaron ki gardishon se Daraega kya nasib mera
ki main bagulon ke sath sahra mein raqs karta jawan hua tha
baDa tajjub hai teri aankhon ki ek tajalli se jal gaya hun
wagarna shoalon ki aankh par main gira guzarta jawan hua tha
usi kahani ne rang di hai meri jawani ki har nishani
main jis kahani mein zindagani ke rang bharta jawan hua tha
jo aaj sine ke ek kone mein KHamushi se paDa hua hai
ye dil surayya ke par duniya mein panw dharta jawan hua tha
nahin achambhe ki baat koi jo tujh pe 'mumtaz' mar miTa hai
ye shaKHs pahle bhi teri pael pe marta marta jawan hua tha
Ghazal
Main kam-sini ke sabhi khilaunon mein yun bikharta jawan hua tha
Mumtaz Gurmani