main kahan tak tujhe safai dun
KHud ko ilzam-e-bewafai dun
tujh se main dushmani shadid karun
pyar bhi tujh ko intihai dun
a meri jaan gar ijazat ho
zaKHm ko izn-e-lab-kushai dun
zindagi tujh ko e'tibar nahin
apne hone ki main gawahi dun
mujh ko KHud mere pas le aana
main tujhe gar kahin dikhai dun
ek zamana hai gosh-bar-awaz
ek zamane ko main sunai dun
wa karun tujh pe manzil-e-idrak
phir tujhe zauq-e-na-rasai dun
Ghazal
Main kahan tak tujhe safai dun
Shahid Kamal

