main kahan aur arz-e-haal kahan
wo kahan aur mera KHayal kahan
main sitara na tum gulab hue
mil rahe hain magar visal kahan
aag sochun to KHak likhta hun
muttafiq lafz aur KHayal kahan
hai wafa ka sila wafa sach hai
lekin aisi koi misal kahan
mujh ko pamal-e-umr karte hue
ja rahe hain ye mah-o-sal kahan
puchhta hun jawaz-e-kaun-o-makan
le gai jurat-e-sawal kahan
'asadullah'-KHan ki den hai ye
'shauq' tum aise KHush-KHayal kahan
Ghazal
Main kahan aur arz-e-haal kahan
Razi Akhtar Shauq

