اردو हिंदी
Main kaha bolna shab ghair se tha tumko kya | Shaahi Shayari
main kaha bolna shab ghair se tha tumko kya

Ghazal

Main kaha bolna shab ghair se tha tumko kya

Mirza Mohammad Taqi Hawas

;

main kaha bolna shab ghair se tha tum ko kya
muskura kahne laga shauq mera tum ko kya

jo kaha main ki bure taur nikale tum ne
pher kar munh ko laga kahne bhala tum ko kya

shikwa us but ke jafa ka jo kiya main to kaha
tum to duniya mein ho ek ahl-e-wafa tum ko kya

dard-e-sar dushmanon ke un ke hua raat so main
jun hi ghabra ke ye puchha to kaha tum ko kya

tan kar munh pe dupaTTa ba-dam-e-sard kaha
tum lage puchhne kyun haal mera tum ko kya

har ghaDi tum jo malamat mujhe karte ho 'hawas'
aap main dam-e-mohabbat mein phansa tum ko kya