main kah raha hun sar-e-am barmala baba
guman hai bhare mele mein kho gaya baba
kaDi hai dhup tamazat se panw jalte hain
jo saeban saron par tha kya hua baba
zara si baat pe aankhen barasne lagti hain
kahan se DhunD ke launga hausla baba
tumhaare baad to lamhe nahin guzarte hain
abhi to umr ka baqi hai marhala baba
bas ek umr bachchi hai tumhaari yaad liye
ab apne pas bacha bhi hai aur kya baba
ruki jo sans tumhaari badal gai duniya
kahan wo rabt kisi se jo pahle tha baba
main tin pahar se baiTha hua hun qabr ke pas
ab apne karb sameTo ki main chala baba
agar sataya zamane ne zahr kha lunga
tumhaara beTa hai 'ashraf' bhi sar-phira baba
Ghazal
Main kah raha hun sar-e-am barmala baba
Ashraf Ali Ashraf