main kab se apni talash mein hun mila nahin hun
sawal ye hai ki main kahin hun bhi ya nahin hun
ye mere hone se aur na hone se munkashif hai
ki razm-e-hasti mein kya hun main aur kya nahin hun
main shab nizhadon mein subh-e-farda ki aarzu hun
main apne imkan mein raushni hun saba nahin hun
gulab ki tarah ishq mera mahak raha hai
magar abhi us ki kisht-e-dil mein khila nahin hun
na jaane kitne KHudaon ke darmiyan hun lekin
abhi main apne hi haal mein hun KHuda nahin hun
kabhi to iqbaal-mand hogi meri mohabbat
nahin hai imkan koi magar manta nahin hun
hawaon ki dastaras mein kab hun jo bujh rahunga
main istiara hun raushni ka diya nahin hun
main apni hi aarzu ki chashm-e-malal mein hun
khula hai dar KHwab ka magar dekhta nahin hun
udhar tasalsul se shab ki yalghaar hai idhar main
bujha nahin hun bujha nahin hun bujha nahin hun
bahut zaruri hai ahd-e-nau ko jawab dena
so tikhe lahje mein bolta hun KHafa nahin hun
Ghazal
Main kab se apni talash mein hun mila nahin hun
Pirzada Qasim

