main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
sad-KHema-e-bahaar mere aas pas tha
toDa hai bar-ha mujhe dil ki shikast ne
chehra magar zara bhi na mera udas tha
sahra-e-jaan ki dhup mein thin wahshaten bahut
lekin na mera azm kahin bad-hawas tha
ye aur baat hai ki barhana thi zindagi
maujud phir bhi mere badan par libas tha
main ne har ek lamhe ko chaha hai TuT kar
tha zindagi-parast mohabbat-shanas tha
mausam kuchh aae aise bhi shahr-e-KHayal mein
mujh ko na jin ka ilm na koi qayas tha
fikr-e-suKHan hi 'ashk' hai zauq-e-amal mera
is ke siwa na kar-e-jahan koi ras tha
Ghazal
Main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
Ibrahim Ashk