main kar-amad hun ya be-kar hun main
magar ai yar tera yar hun main
jo dekha hai kisi ko mat batana
ilaqe bhar mein izzat-dar hun main
KHud apni zat ke sarmae mein bhi
sifar fisad ka hisse-dar hun main
aur ab kyun bain karte aa gae hon
kaha tha na bahut bimar hun main
meri to sari duniya bas tumhi ho
ghalat kya hai jo duniya-dar hun main
kahani mein jo hota hi nahin hai
kahani ka wahi kirdar hun main
ye tai karta hai dastak dene wala
kahan dar hun kahan diwar hun main
koi samjhae mere dushmanon ko
zara si dosti ki mar hun main
mujhe patthar samajh kar pesh mat aa
zara sa rahm kar jaan-dar hun main
bas itna soch kar kije koi hukm
baDa munh-zor KHidmat-gar hun main
koi shak hai to be-shak aazma le
tera hone ka dawe-dar hun main
agar har haal mein KHush rahna fan hai
to phir sab se baDa fankar hun main
zamana to mujhe kahta hai 'faris'
magar 'faris' ka parda-dar hun main
unhen khilna sikhata hun main 'faris'
gulabon ka suhulat-kar hun main
Ghazal
Main kar-amad hun ya be-kar hun main
Rehman Faris