اردو हिंदी
Main jo Thahra Thaharta chala jaunga | Shaahi Shayari
main jo Thahra Thaharta chala jaunga

Ghazal

Main jo Thahra Thaharta chala jaunga

Atiiqullah

;

main jo Thahra Thaharta chala jaunga
ya zamin mein utarta chala jaunga

jis jagah nur ki barishen tham gain
wo jagah tujh se bharta chala jaunga

darmiyan mein agar maut aa bhi gai
us ke sar se guzarta chala jaunga

tere qadmon ke aasar jis ja mile
is hatheli pe dharta chala jaunga

dur hota chala jaunga dur tak
pas hi se ubharta chala jaunga

raushni rakhta jaega tu hath par
aur main tahrir karta chala jaunga