main jo tanha rah-e-talab mein chala
mera saya mere aqab mein chala
subh ke qafilon se nibh na saki
main akela sawad-e-shab mein chala
jab ghane jangalon ki saf aai
ek tara mere aqab mein chala
aage aage koi bagula sa
aalam-e-masti-o-tarab mein chala
main kabhi hairat-e-talab mein ruka
aur kabhi shiddat-e-ghazab mein chala
nahin khulta ki kaun shaKHs hun main
aur kis shaKHs ki talab mein chala
ek anjaan zat ki jaanib
al-gharaz main baDe tab mein chala
Ghazal
Main jo tanha rah-e-talab mein chala
Rais Amrohvi

