اردو हिंदी
Main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo | Shaahi Shayari
main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo

Ghazal

Main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo

Shahzad Ahmad

;

main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo
tum agar meri jagah ho to bhala kya na karo

ab to ai dil hawas-e-saghar-o-mina na karo
chhoD bhi do ye taqaza ye taqaza na karo

dil pe ai dost qayamat si guzar jati hai
tum nigah-e-ghalat-andaz se dekha na karo

phir bhi aankhen unhen har baat bata deti hain
dil to kahta hai kisi baat ka charcha na karo

ab mera dard meri jaan hua jata hai
ai mere chaaragaro ab mujhe achchha na karo

ye sar-e-bazm meri samt ishaare kaise
main tamasha to nahin mera tamasha na karo

mil hi jati hai kabhi yas mein taskin mujhe
ai umido mujhe aise mein to chheDa na karo

us ne 'shahzad' teri baat ko Thukra hi diya
main na kahta tha ki izhaar-e-tamanna na karo