main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
jo hoga zindagi ka Dhab tumhein bhi sochna hoga
abhi to aankh ojhal hai magar KHurshid ke hathon
khinchegi jab rida-e-shab tumhein bhi sochna hoga
muqaddar mein tumhaare kyun nahin likhkha ba-juz mere
salib-o-dar ka mansab tumhein bhi sochna hoga
ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain
ye kis barzaKH mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga
KHuda aur aadmi donon agar ain-e-haqiqat hain
haqiqat mein hai kya mazhab tumhein bhi sochna hoga
Ghazal
Main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
Himayat Ali Shayar