main jo apne haal se kaT gaya to kai zamanon mein baT gaya
kabhi kaenat bhi kam paDi kabhi jism-o-jaan mein simaT gaya
yahi haal hai kai sal se na qarar-e-dil na sukun-e-jaan
kabhi sans gham ki ulaT gai kabhi rishta dard se kaT gaya
meri jiti-jagti fasl se ye suluk baad-e-sumum ka
meri kisht-e-fikr ujaD gai mera zehn kanTon se paT gaya
na dayar-e-dard mein chain hai na sukun dasht-e-KHayal mein
kabhi lamha bhar ko dhuan chhaTa to ghubar rah mein aT gaya
na wo aarzu na wo justuju na wo rang-e-jama-e-be-rafu
bhala is wajud ka wazn kya jo madar-e-shauq se haT gaya
na wo kaif-e-shab na wo mah-e-shab na wo karwan-e-ghazal-e-shab
jahan zikr-e-hijr-o-visal tha wo waraq hi koi ulaT gaya

Ghazal
Main jo apne haal se kaT gaya to kai zamanon mein baT gaya
Haneef Asadi