اردو हिंदी
Main jis jagah bhi rahunga wahin pe aaega | Shaahi Shayari
main jis jagah bhi rahunga wahin pe aaega

Ghazal

Main jis jagah bhi rahunga wahin pe aaega

Alam Khursheed

;

main jis jagah bhi rahunga wahin pe aaega
mera sitara kisi din zamin pe aaega

lakir khinch ke baiThi hai tishnagi meri
bas ek zid hai ki dariya yahin pe aaega

muhib sae baDhe aate hain hamari taraf
kab e'tibar hamein dur-bin pe aaega

ab is ada se hawaen diye bujhaengi
ki ittiham bhi KHana-nashin pe aaega

kaman-e-waqt ne hum ko hadaf banaya hai
kahin se tir chalega hamin pe aaega

uDa raha hun ghubara magar KHabar hai mujhe
zara si der mein wapas zamin pe aaega