اردو हिंदी
Main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke | Shaahi Shayari
main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke

Ghazal

Main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke

Qamar Jameel

;

main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke
wo charagh bujh gae hain meri umr-e-jawedan ke

na ye lala-zar apne na ye rahguzar apni
wahi ghar zamin ke niche wahi KHwab aasman ke

ye piyala hai ki dil hai ye sharab hai ki jaan hai
ye daraKHt hain ki sae kisi dast-e-mehrban ke

mujhe yaad aa rahe hain wo charagh jin ke sae
kabhi doston ke chehre kabhi dagh raftagan ke