main jin ko DhunDne nikla tha gahre ghaaron mein
pata chala ki wo rahte hain ab sitaron mein
parakh raha hai mujhe jo wo is KHayal ka hai
hamesha jhuT nahin hota ishtihaaron mein
unhen yaqin tha duniya ki umr lambi hai
jo log peD lagate the rahguzaron mein
main KHud ko dekhun agar dusre ki aankhon se
milengi KHamiyan apne hi shah-karon mein
tumhaari KHushbu ko mujh se kahin ye chhin na le
hawa jo rahti hai diwar ki dararon mein
KHuda ka shukr ki main us se thoDi dur raha
safed sanp tha gende ke pile haaron mein
nashili raat ka nashsha kuchh aur baDh jata
tera nazara bhi hota agar nazaron mein
zaban pe aai to apni miThas kho baiThi
jo baat hoti thi pahle kabhi ishaaron mein
Ghazal
Main jinko DhunDne nikla tha gahre ghaaron mein
Sardar Asif