main jang jit ke jabr-o-ana ki haar gaya
adu pe rahm ka ehsas mujh ko mar gaya
amir-e-shahr ke afw-o-karam ko kya kahiye
khule wo log ki KHauf-e-salib-o-dar gaya
ghurur-e-kasrat-e-lashkar na mere kaam aaya
main so raha tha ki shab-KHun ghanim mar gaya
mera nasib ki bikhri thi Dal Dal meri
koi KHizan ka bagula mujhe sanwar gaya
sadi ki raat guzari umid ke bal par
bujha charagh-e-sahar karb-e-intizar gaya
kisi ne chap bhi jate hue na us ki suni
jo shaKHs barson tere shahr mein guzar gaya
shab-e-firaq ke dariya mein kud kar 'rasiKH'
tamam qarz wafa ke koi utar gaya
Ghazal
Main jang jit ke jabr-o-ana ki haar gaya
Rasikh Irfani