main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao
hausla ho to uDo mere tasawwur ki tarah
meri taKHil ke gulzar-e-jinan tak aao
tegh ki tarah chalo chhoD ke aaghosh-e-niyam
tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao
phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo wo sadiyon ke jahannam ki haden KHatm huin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhoD kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaiKH-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
Ghazal
Main jahan tumko bulata hun wahan tak aao
Ali Sardar Jafri