اردو हिंदी
Main jahan tha wahin rah gaya mazarat | Shaahi Shayari
main jahan tha wahin rah gaya mazarat

Ghazal

Main jahan tha wahin rah gaya mazarat

Zulfiqar Aadil

;

main jahan tha wahin rah gaya mazarat
ai zamin mazarat ai KHuda mazarat

kuchh batate hue kuchh chhupate hue
main hansa mazarat ro diya mazarat

KHud tumhaari jagah ja ke dekha hai aur
KHud se ki hai tumhaari jagah mazarat

jo hua jaane kaise hua kya KHabar
jo kiya wo nahin ho saka mazarat

main ki KHud ko bachane ki koshish mein tha
ek din main ne KHud se kaha mazarat

mujh se girya mukammal nahin ho saka
main ne diwar par likh diya mazarat

main bahut dur hun sham nazdik hai
sham ko do sada shukriya mazarat