main jahan jaun mere sath chale sannaTa
meri aankhon mein lagatar jale sannaTa
subh aati hai dabe panw chali jati hai
gher leta hai mujhe sham Dhale sannaTa
bhagti bhiD ke qadmon se lipaT kar roe
warna har sust musafir ko chhale sannaTa
tum KHayalat ke KHemon mein simaT mat jaana
jab sar-e-rah kabhi hath male sannaTa
phir mere shahr mein lauT aai hai dahshat-gardi
phir har ek jism ke sae mein pale sannaTa
ab makanon ki chhaton ka bhi nazara kar lo
gungunata hai sitaron ke tale sannaTa
aaj-kal un ke Thikanon mein baDi halchal hai
kash mere bhi shabistan se Tale sannaTa

Ghazal
Main jahan jaun mere sath chale sannaTa
Chandrabhan Khayal